Darbhanga Hamara
Aman aur santhi ka paigaam deta hai Bhaichara ke naru me jeeta marta hai Mithlanchal ki dharti per hai iski saan Sabse alag aur juda hai iska mukaam Sabse achha sabse juda hai sabse pyara Hum sub ki saan hai darbhanga hamara Na unch nech aur nhai hai jaat paat Sub ke ander isaan hai aur insaanyat ke khyalaat Kushya hum sub melkar banttey hai Gum ke badal chhaye tu milkar chanttey hai Erade hai majboot or sub say alag hai soch hamara Hum sub ki jaan hai darbhanga hamara Yahan her perb hum mil jul kar manatey hai Diwali ki mithai aur Eid ka sawai khatey hai Holi ki rango me hum rang jate hai Eid ke din dushmano ko bhi gale lagate hai Yahan ka perb yahan ki millat hai sab say nayara Hum sub ki abhiman hai darbhanga hamara Yahan ke washi apne nagar pe marte hai Apne nagar ke khatir jaan nichhawar karte hai Mulk me naye mishal banke ubharte hai Sab ki soch badal de aisi soch rakhte hai